Moree chham-chham baaje paayliyaa

मोरी छम-छम बाजे पायलिया
Work
Year
Language

मोरी छम-छम बाजे पायलिया -2
आज मिले हैं मोरे साँवरिया -2
मोरी छम-छम …

( बड़ी मुद्दत में दिल के सहारे मिले
आज डूबे हुओं को किनारे मिले ) -2
कभी मुस्क्‌राए मन कभी शरमाए मन
कभी नैनों की छलके गागरिया
मोरी छम-छम …

( चाँद-तारों के गहने पहना दो मुझे
कोई आ के दुल्हनिया बना दो मुझे ) -2
नहीं बस में जिया कैसा जादू किया
पिया आज हुई रे मैं तो बावरिया
मोरी छम-छम …

morī chham-chham bāje pāyliyā -2
āj mile haiṅ more sāṇvriyā -2
morī chham-chham …

( baṛī muddat meṅ dil ke sahāre mile
āj ḍūbe huoṅ ko kināre mile ) -2
kabhī musk‌rāe man kabhī śharmāe man
kabhī nainoṅ kī chhalke gāgriyā
morī chham-chham …

( chāṇd-tāroṅ ke gahne pahnā do mujhe
koī ā ke dulhniyā banā do mujhe ) -2
nahīṅ bas meṅ jiyā kaisā jādū kiyā
piyā āj huī re maiṅ to bāvriyā
morī chham-chham …