(khurśhīd)
badriyā …
badriyā baras gaī us pār
liye khaṛī hai prīt ḍagriyā
jogniyā is pār
badriyā baras gaī us pār …
garajne lage megh māī re
nāch nachāve mor
dhīmī-dhīmī chamke bijriyā
śhor kare ghan ghor
ab duniyā gaī pukār
badriyā baras gaī us pār …
(mukeśh)
bhar sarovar paṅchhī pyāsā
kaise man samjhāūṇ
na dil jāne na dil māne
kyā bolūṇ kyā gāūṇ
ṭūṭe bīnā ke tār
badriyā baras gaī us pār …
(hamīdā)
kūk-kūk kar kūk koyliyā
apnā pīyā bulāe
soe dard jagā mat bairan
yād kisīkī āe
mere sūne man ke dvār
badriyā baras gaī us pār