Mohe aaee na jag se laaj

मोहे आई न जग से लाज्
Work
Language

गली गली में फूल बिछाओ ख़ूब मचाओ शोर
अब के पिया जो घर आए मैं नाचूँ बन के मोर

मोहे आई न जग से लाज
मैं इतना ज़ोर से नाची आज
के घुंघरू टूट गए

कुछ मुझ पे नया जोबन भी था
कुछ प्यार का पागलपन भी था
हर पलक मेरी तीर बनी
और ज़ुल्फ़ मेरी ज़ंजीर बनी
लिया दिल साजन का जीत
वो छेड़े पायलिया ने गीत
के घुंघरू टूट गए

वो कैसी लगन बातों में थी
वो किस की महक रातों में थी
सन्देसा जो लाई पुरवाई
मैं ख़ुद से भी शरमाई
जब घर आए थे श्याम
लिया था मुझको ऐसा थाम
के घुंघरू टूट गए

धरती पे न मेरे पैर लगे
बिन पिया मुझे सब ग़ैर लगे
मुझे अंग मिले अरमानों के
मुझे पंख मिले परवानों के
जब मिला पिया का गाओं
तो ऐसा लचका मेरा पाओं
के घुंघरू टूट गए

galī galī meṅ phūl bichhāo khūb machāo śhor
ab ke piyā jo ghar āe maiṅ nāchūṇ ban ke mor

mohe āī na jag se lāj
maiṅ itnā zor se nāchī āj
ke ghuṅghrū ṭūṭ gae

kuchh mujh pe nayā joban bhī thā
kuchh pyār kā pāgalpan bhī thā
har palak merī tīr banī
aur zulf merī zaṅjīr banī
liyā dil sājan kā jīt
vo chheṛe pāyliyā ne gīt
ke ghuṅghrū ṭūṭ gae

vo kaisī lagan bātoṅ meṅ thī
vo kis kī mahak rātoṅ meṅ thī
sandesā jo lāī purvāī
maiṅ khud se bhī śharmāī
jab ghar āe the śhyām
liyā thā mujhko aisā thām
ke ghuṅghrū ṭūṭ gae

dhartī pe na mere pair lage
bin piyā mujhe sab ġhair lage
mujhe aṅg mile armānoṅ ke
mujhe paṅkh mile parvānoṅ ke
jab milā piyā kā gāoṅ
to aisā lachkā merā pāoṅ
ke ghuṅghrū ṭūṭ gae