(pūchho na hameṅ ham unke liye
kyā kyā nazrāne lāye haiṅ
dene ko mubārakbād unheṅ
āṇkhoṅ meṅ ye āṇsū āye haiṅ ) - 2
jīvan kī suhānī rāhoṅ meṅ unko ek jīvan mīt milā
aur hṇstī huī is mahafil se hamko birhā kā gīt milā
kaliyoṅ kī tarah …
muskāye the ham …
kaliyoṅ kī tarah muskāye the ham
phūloṅ kī tarah murjhāye haiṅ
pūchho na hameṅ ham unke liye …
tūfān hazāroṅ sāth lie jīvan kī dhārā bahtī hai
aur dekhke uskī maujoṅ ko taqdīr yah hṇskar kahtī hai
sāhil ke lie jo …
taṛpe the …
sāhil ke lie jo taṛpe the
vah āj bhṇvar meṅ āe haiṅ
pūchho na hameṅ ham unke liye …