Mittee men mil gayaa hai ... nazar uthne se pahle

मिट्टी में मिल गया है ... नज़र उठने से पहले
Year
Language

मिट्टी में मिल गया है तेरा नाम देख ले
छोटी सी एक भूल का अंज़ाम देख ले

नज़र उठने से पहले ही झुका लेती तो अच्छा था -2
तू अपने आप को परदा बना लेती तो अच्छा था
नज़र उठने से पहले …

तेरे होंठों की ये सुर्ख़ी तेरे चेहरे की रौनक है -2
ये सुर्ख़ी माँग में अपने सजा लेती तो अच्छा था
नज़र उठने से पहले …

तेरे शाने पे लहराते हुए आँचल का क्‌या कहना -2
इसी आँचल से इक घूँघट बना लेती तो अच्छा था
नज़र उठने से पहले …

जो काँटों से उलझकर फूल तोड़े भी तो क्‌या तोड़े -2
समझ कर सोच कर दामन बचा लेती तो अच्छा था
नज़र उठने से पहले …

इधर रंगीनियाँ थीं और उधर माँ-बाप की ख़ुशियाँ -2
उन्हें ख़ुश करके तू उनकी दुआ लेती तो अच्छा था
नज़र उठने से पहले …

miṭṭī meṅ mil gayā hai terā nām dekh le
chhoṭī sī ek bhūl kā aṅzām dekh le

nazar uṭhne se pahle hī jhukā letī to achchhā thā -2
tū apne āp ko pardā banā letī to achchhā thā
nazar uṭhne se pahle …

tere hoṅṭhoṅ kī ye surkhī tere chehre kī raunak hai -2
ye surkhī māṇg meṅ apne sajā letī to achchhā thā
nazar uṭhne se pahle …

tere śhāne pe lahrāte hue āṇchal kā k‌yā kahnā -2
isī āṇchal se ik ghūṇghaṭ banā letī to achchhā thā
nazar uṭhne se pahle …

jo kāṇṭoṅ se ulajhkar phūl toṛe bhī to k‌yā toṛe -2
samajh kar soch kar dāman bachā letī to achchhā thā
nazar uṭhne se pahle …

idhar raṅgīniyāṇ thīṅ aur udhar māṇ-bāp kī khuśhiyāṇ -2
unheṅ khuśh karke tū unkī duā letī to achchhā thā
nazar uṭhne se pahle …