nūr jahāṇ: tum āṇkhoṅ se dūr ho, huī nīṅd āṇkhoṅ se dūr
mere sāthī ġham kī choṭ se huā dil kā śhīśhā chūr
sāthiyā, beliyā, sājnā, ho o o …
durrānī: mujhe śhikvā hai taqdīr se, nahīṅ tumse koī ġhilā
hāy, nahīṅ tumse koī ġhilā
mujhe lākar yūṇ pardes meṅ merā sab kuchh chhīn liyā
hāy, merā sab kuchh chīn liyā
sāthiyā, beliyā, sājnā, ho o oy …
nūr jahāṇ: merī āṇkhoṅ meṅ āṇsū ā base, hūṇ rone par majbūr
mere zakhm hue pardesiyā, ā ris-ris ke nāsūr
sāthiyā, beliyā, sājnā, ho o o …
durrānī: mujhe rogī karke pyār kā, diyā ġham kā rog lagā
hāy diyā ġham kā rog lagā
mere jalte hue charāġh ko merī, qismat gaī bujhā
hāy, merī qismat gaī bujhā
sāthiyā, beliyā, sājnā, ho o oy …
nūr jahāṇ: mujhe dhokā diyā nasīb ne, nahīṅ merā koī kusūr -2
sāthiyā, beliyā, sājnā ho o o …