dil-e-nādāṅ tujhe huā kyā hai
ākhir is dard kī davā kyā hai
ham haiṅ muśhtāq aur vo bezār
yā ilāhī, ye mājrā kyā hai
maiṅ bhī muh meṅ zubān rakhtā hūṇ
kāśh pūchho kī mudd kyā hai
jabki tujh bin nahīṅ koī maujūd
phir ye haṅgāmā ai khudā kyā hai
ye parī-chehrā log kaise haiṅ
ġhamazā-o-uśhvā-o-adā kyā hai
śhikne-zulafe-amabrī kyā hai
nigāhe-chaśhme-suram sā kyā hai
sabz-o-gul kahāṇ se āye haiṅ
abr kyā chīz hai, havā kyā hai
hamko unse vafā ki hai ummīd
jo nahīṅ jānte vafā kyā hai
hāṇ bhalā kar, terā bhalā hogā
aur darveśh kī sadā kyā hai
jān tum par nisār kartā hūṇ
maiṅ nahīṅ jāntā duā kyā hai
maine mānā ki kuchh nahīṅ ``ġhālib''
muft hāth āye, to burā kyā hai
% grce of the concealed glances