Miltee hai jhuktee hai sharmaatee hai ... ek nazar men

मिलती है झुकती है शर्माती है ... एक नज़र में
Work
Year
Language

मिलती है झुकती है शर्माती है
एक नज़र में एक नज़र यार की क्‌या क्‌या कर जाती है
मिलती है …

बस इक नज़र में इतने नज़ारे देखे न पहले कभी
कैसे होते हैं ये दिल दीवाने ये तो हम जाने अभी
चाहत ही धड़कन को धड़काती है
हाँ मिलती है …

जबसे मिली हैं तुमसे निगाहें क्‌या दिल की हालत कहें
या तो कहें हम इसको शरारत या फिर मुहब्बत कहें ओ
समझो तो नज़र ये भी समझाती है
मिलती है …

miltī hai jhuktī hai śharmātī hai
ek nazar meṅ ek nazar yār kī k‌yā k‌yā kar jātī hai
miltī hai …

bas ik nazar meṅ itne nazāre dekhe na pahle kabhī
kaise hote haiṅ ye dil dīvāne ye to ham jāne abhī
chāhat hī dhaṛkan ko dhaṛkātī hai
hāṇ miltī hai …

jabse milī haiṅ tumse nigāheṅ k‌yā dil kī hālat kaheṅ
yā to kaheṅ ham isko śharārat yā phir muhabbat kaheṅ o
samjho to nazar ye bhī samjhātī hai
miltī hai …