Mil jaate hain jo pyaar men

मिल जाते हैं जो प्यार में
Work
Year
Language

हे हे मिल जाते हैं जो प्यार में मरके भी वो बिछड़ते नहीं
हम उन्हें भूल सकते नहीं वो हमें भूल सकते नहीं
हो मिल जाते हैं …

कौन सी चाँदनी रात में क्‌या हुआ किस मुलाकात में
याद आती है जब भी कोई बात बस बात ही बात में
जैसे रोते हैं दिल टूट के ऐसे सावन बरसते नहीं
ओ मिल जाते हैं …

ग़म की नज़रों पे छाया हुआ दर्द हँसते नज़ारों का है
दिल के बाहर है पतझड़ मगर दिल में मौसम बहारों का है
उनकी यादों के ये फूल तो टूट कर भी बिखरते नहीं
ओ मिल जाते हैं …

हमको ले जाएगी अब कहां प्यार की ये गली क्‌या पता
भूल से हम यहां आ गए वापसी का नहीं रास्ता
इसलिए बचके चलते हैं लोग इस गली से गुज़रते नहीं
हो मिल जाते हैं …

किस तरफ़ किसको आवाज़ दें कौन जाने कहां रह गया
रात ग़म की गुज़रती गई ये अंधेरा यहां रह गया
हम जहां हैं वहां आजकल चाँद सूरज निकलते नहीं
मिल जाते हैं …

he he mil jāte haiṅ jo pyār meṅ marke bhī vo bichhaṛte nahīṅ
ham unheṅ bhūl sakte nahīṅ vo hameṅ bhūl sakte nahīṅ
ho mil jāte haiṅ …

kaun sī chāṇdnī rāt meṅ k‌yā huā kis mulākāt meṅ
yād ātī hai jab bhī koī bāt bas bāt hī bāt meṅ
jaise rote haiṅ dil ṭūṭ ke aise sāvan baraste nahīṅ
o mil jāte haiṅ …

ġham kī nazroṅ pe chhāyā huā dard hṇste nazāroṅ kā hai
dil ke bāhar hai patjhaṛ magar dil meṅ mausam bahāroṅ kā hai
unkī yādoṅ ke ye phūl to ṭūṭ kar bhī bikharte nahīṅ
o mil jāte haiṅ …

hamko le jāegī ab kahāṅ pyār kī ye galī k‌yā patā
bhūl se ham yahāṅ ā gae vāpsī kā nahīṅ rāstā
islie bachke chalte haiṅ log is galī se guzarte nahīṅ
ho mil jāte haiṅ …

kis taraf kisko āvāz deṅ kaun jāne kahāṅ rah gayā
rāt ġham kī guzartī gaī ye aṅdherā yahāṅ rah gayā
ham jahāṅ haiṅ vahāṅ ājkal chāṇd sūraj nikalte nahīṅ
mil jāte haiṅ …