Meree vafaaen yaad karoge ... rooge fariyaad karoge

मेरी वफ़ाएं याद करोगे ... रोओगे फ़रियाद करोगे
Work
Year
Language

कु: मेरी वफ़ाएं याद करोगे
रोओगे हाँ हाँ फ़रियाद करोगे -2

मुझको तो बर्बाद किया है -2
और किसे हे हे बर्बाद करोगे -2
रोओगे फ़रियाद करोगे …

कैसे भूलोगे तुम मुझको -2
याद मुझे मेरे बाद करोगे

आ: मेरी मुहब्बत याद करोगे -2
रोओगे फ़रियाद करोगे …

अपनों को तो भूल चुके हो -2
और किसे तुम याद करोगे
रोओगे फ़रियाद करोगे …

लूट के मेरी दुनिया दिलबर
कैसे खुद को आबाद करोगे
रोओगे फ़रियाद करोगे …

ku: merī vafāeṅ yād karoge
rooge hāṇ hāṇ fariyād karoge -2

mujhko to barbād kiyā hai -2
aur kise he he barbād karoge -2
rooge fariyād karoge …

kaise bhūloge tum mujhko -2
yād mujhe mere bād karoge

ā: merī muhabbat yād karoge -2
rooge fariyād karoge …

apnoṅ ko to bhūl chuke ho -2
aur kise tum yād karoge
rooge fariyād karoge …

lūṭ ke merī duniyā dilbar
kaise khud ko ābād karoge
rooge fariyād karoge …