मेरी तस्वीर मैं रंग किसी और का तो नहीं
मेरी तस्वीर मैं रंग किसी और का तो नहीं
घेर लें मुझको सब आँखें मैं तमाशा तो नहीं
ज़िन्दगी तुझसे हर इक साँस पे समझौता करूं
शौक जीने का है मुझको मगर इतना तो नहीं
रूह को दर्द मिला दर्द को आँखें ना मिली
तुझको महसूस किया है तुझे देखा तो नहीं
सोचते सोचते दिल डूबने लगता है मेरा
ज़हन की तह में ''मुज़फ़्फ़र्'' कोई दरिया तो नहीं
merī tasvīr maiṅ raṅg kisī aur kā to nahīṅ
gher leṅ mujhko sab āṇkheṅ maiṅ tamāśhā to nahīṅ
zindgī tujhse har ik sāṇs pe samjhautā karūṅ
śhauk jīne kā hai mujhko magar itnā to nahīṅ
rūh ko dard milā dard ko āṇkheṅ nā milī
tujhko mahsūs kiyā hai tujhe dekhā to nahīṅ
sochte sochte dil ḍūbne lagtā hai merā
zahan kī tah meṅ ''muzaffar'' koī dariyā to nahīṅ