Meree neend churaane vaalee ... dekho pakaree gaee haseenaa

मेरी नींद चुराने वाली ... देखो पकड़ी गई हसीना
Year
Language

तक धिन्ना
तक धिन्ना तक धिन्ना हाय मुश्किल है जीना
मेरी नींद चुराने वाली ओ मेरा चैन चुराने वाली
देखो पकड़ी गई हसीना

ता थैया ता थैया मैं मर गई हाय दइया
मेरी नींद चुराने वाला ओ मेरा चैन चुराने वाला
देखो पकड़ा गई सिपहिया
ता थैया …

ये रूपनगर के प्रेमी हैं ये प्रेम गली में रहते हैं
ये इनकी प्रेम कहानी है इक राजा है इक रानी है

ये चूड़ियां जो छनका रही है किस बात पे तू इतरा रही है
पिंजरे में पंछी घबरा रहा है इसका मज़ा मुझको आ रहा है
सपनों में आने वाला मुझे रात जगाने वाला
देखो पकड़ा गई सिपहिया
ता थैया …

इक तेरी बिंदिया इक तेरा काजल दोनों ने कर डाला मुझको पागल
जोबन का ये पहला साल मेरा तूने किया है क्‌या हाल मेरा
मेरा रंग चुराने वाला मेरा रूप उड़ाने वाला
देखो पकड़ा गई सिपहिया
ता थैया …

ये चोरी चोरी मिलते हैं ख्वाबों में फूल खिलते हैं
इक चंदा संग चकोरी है इक छोरा है इक छोरी है

tak dhinnā
tak dhinnā tak dhinnā hāy muśhkil hai jīnā
merī nīṅd churāne vālī o merā chain churāne vālī
dekho pakaṛī gaī hasīnā

tā thaiyā tā thaiyā maiṅ mar gaī hāy daiyā
merī nīṅd churāne vālā o merā chain churāne vālā
dekho pakaṛā gaī siphiyā
tā thaiyā …

ye rūpangar ke premī haiṅ ye prem galī meṅ rahte haiṅ
ye inkī prem kahānī hai ik rājā hai ik rānī hai

ye chūṛiyāṅ jo chhankā rahī hai kis bāt pe tū itrā rahī hai
piṅjre meṅ paṅchhī ghabrā rahā hai iskā mazā mujhko ā rahā hai
sapnoṅ meṅ āne vālā mujhe rāt jagāne vālā
dekho pakaṛā gaī siphiyā
tā thaiyā …

ik terī biṅdiyā ik terā kājal donoṅ ne kar ḍālā mujhko pāgal
joban kā ye pahlā sāl merā tūne kiyā hai k‌yā hāl merā
merā raṅg churāne vālā merā rūp uṛāne vālā
dekho pakaṛā gaī siphiyā
tā thaiyā …

ye chorī chorī milte haiṅ khvāboṅ meṅ phūl khilte haiṅ
ik chaṅdā saṅg chakorī hai ik chhorā hai ik chhorī hai