Meree muhabbat javaan rahegee

मेरी मुहब्बत जवाँ रहेगी
Work
Year
Language

मेरी मुहब्बत जवाँ रहेगी
सदा रही है, सदा रहेगी
तड़प तड़प कर यही कहेगी
सदा रही है, सदा रहेगी

न तुम सा कोई ज़माने भर में, ओ ओ
तुम्हीं को चाहा मेरी नज़र ने
तुम्हें चुना है, तुम्हें चुनेगी
सदा रही है, सदा रहेगी

जो आग दिल में लगी हुई है, ओ ओ
यही तो मंज़िल की रोशनी है
न यह बुझी है, न यह बुझेगी
सदा रही है, सदा रहेगी

तुम्हरी पहलू में गर मरे हम, ओ ओ
तो मौत कितनी हसीन होगी
चिता में जल कर भी ना मिटेगी
सदा रही है, सदा रहेगी

merī muhabbat javāṇ rahegī
sadā rahī hai, sadā rahegī
taṛap taṛap kar yahī kahegī
sadā rahī hai, sadā rahegī

na tum sā koī zamāne bhar meṅ, o o
tumhīṅ ko chāhā merī nazar ne
tumheṅ chunā hai, tumheṅ chunegī
sadā rahī hai, sadā rahegī

jo āg dil meṅ lagī huī hai, o o
yahī to maṅzil kī rośhnī hai
na yah bujhī hai, na yah bujhegī
sadā rahī hai, sadā rahegī

tumhrī pahlū meṅ gar mare ham, o o
to maut kitnī hasīn hogī
chitā meṅ jal kar bhī nā miṭegī
sadā rahī hai, sadā rahegī