Meree jaan na zulfen kholo kaheen raat thahar naa jaae

मेरी जान न ज़ुल्फ़ें खोलो कहीं रात ठहर ना जाए
Year
Language

मेरी जान
मेरी जान न ज़ुल्फ़ें खोलो कहीं रात ठहर ना जाए -2

बेताब हवाएँ ऐसे में ख़ुश्बू न उड़ा लें बालों की
खिलती हुई कलियाँ चुपके से रंगत ना चुरा लें गालों की
ये रंग कहीं बँट जाए ना ये हुस्न बिखर ना जाए
मेरी जान न ज़ुल्फ़ें …

इस फूल सी नाज़ुक बाँहों से हर शाख लचकना सीख न ले
यूँ जान के गहरी साँस न लो हर मौझ छलकना सीख न ले
लहरा के तुम्हारे आँचल तक हर शोख़ नज़र ना जाए
मेरी जान न ज़ुल्फ़ें …

तुम यूँ ही क़यामत लगती हो अब और अदाएँ जाने दो
माथे पे ये बल क्‌यों डाले हैं ये दर्ज़ा सज़ाएँ जाने दो
इतना भी किसी से रूठो ना कोई जाँ से गुज़र ना जाए
मेरी जान न ज़ुल्फ़ें …

merī jān
merī jān na zulfeṅ kholo kahīṅ rāt ṭhahar nā jāe -2

betāb havāeṇ aise meṅ khuśhbū na uṛā leṅ bāloṅ kī
khiltī huī kaliyāṇ chupke se raṅgat nā churā leṅ gāloṅ kī
ye raṅg kahīṅ bṇṭ jāe nā ye husn bikhar nā jāe
merī jān na zulfeṅ …

is phūl sī nāzuk bāṇhoṅ se har śhākh lachaknā sīkh na le
yūṇ jān ke gahrī sāṇs na lo har maujh chhalaknā sīkh na le
lahrā ke tumhāre āṇchal tak har śhokh nazar nā jāe
merī jān na zulfeṅ …

tum yūṇ hī qayāmat lagtī ho ab aur adāeṇ jāne do
māthe pe ye bal k‌yoṅ ḍāle haiṅ ye darzā sazāeṇ jāne do
itnā bhī kisī se rūṭho nā koī jāṇ se guzar nā jāe
merī jān na zulfeṅ …