Meree jaan kuchh bhee kijie, chaahe jaan meree lijie

मेरी जान कुछ भी किजिए, चाहे जान मेरी लिजिए
Work
Year
Language

मेरी जान कुछ भी किजिए
चाहे जान मेरी लिजिए
पर दिल हम ही को दिजिए

कभी याद हमे भी किजिए
कभी नाम हमारा लिजिए
सपनों में आया किजिए

कभी तो हम से कर लो दो बातें प्यारा मुखड़ा मोड़ के
तुम कहो तो धरती पे ला दूँ चाँद तारें तोड़ के
पर ये वादा हमसे कर लो, जाओगे ना छोड़ के

याद आकर तेरी जो तड़पाए तो कोई क्या करे
तेरा दामन ना हाथ में आए तो कोई क्या करे
चाँदनी भी आग बन जाए तो कोई क्या करे

पास आकर ये तो बता जा हम बुरे है ओ हसीं
चौदहवीं का चाँद हो तुम हम भी तुमसे कम नहीं

merī jān kuchh bhī kijie
chāhe jān merī lijie
par dil ham hī ko dijie

kabhī yād hame bhī kijie
kabhī nām hamārā lijie
sapnoṅ meṅ āyā kijie

kabhī to ham se kar lo do bāteṅ pyārā mukhaṛā moṛ ke
tum kaho to dhartī pe lā dūṇ chāṇd tāreṅ toṛ ke
par ye vādā hamse kar lo, jāoge nā chhoṛ ke

yād ākar terī jo taṛpāe to koī kyā kare
terā dāman nā hāth meṅ āe to koī kyā kare
chāṇdnī bhī āg ban jāe to koī kyā kare

pās ākar ye to batā jā ham bure hai o hasīṅ
chaudahvīṅ kā chāṇd ho tum ham bhī tumse kam nahīṅ