Meree jaan kuchh bhee keejie ... kabhee yaad hamen bhee keejie

मेरी जान कुछ भी कीजिए ... कभी याद हमें भी कीजिए
Work
Year
Language

मु: मेरी जान कुछ भी कीजिए
चाहे जान मेरी लीजिए
पर दिल हमीं को दीजिए -2
ल: कभी याद हमें भी कीजिए
कभी नाम हमारा लीजिए
सपनों में आया कीजिए -2

मु: कभी तो हमसे कर लो दो बातें प्यारा मुखड़ा मोड़ के
तुम कहो तो धरती पे ला दें चाँद-तारे तोड़ के
पर ये वादा हमसे कर लो जाओगे ना छोड़ के
ल: कभी याद हमें …

याद आकर तेरी जो तड़पाए तो कोई क्‌या करे
तेरा दामन न हाथों में आए तो कोई क्‌या करे
चाँद भी आग बन जाए तो कोई क्‌या करे
मु: मेरी जान कुछ …

दिल किसी को एक दिन तो दोगी क्‌यूँ हमें देती नहीं
पास आकर ये तो बता दे क्‌या हम बुरे हैं ओ हसीं
चौदहवीं का चाँद हो तुम हम भी तुझसे कम नहीं
ल: कभी याद हमें …
मु: मेरी जान कुछ …

mu: merī jān kuchh bhī kījie
chāhe jān merī lījie
par dil hamīṅ ko dījie -2
la: kabhī yād hameṅ bhī kījie
kabhī nām hamārā lījie
sapnoṅ meṅ āyā kījie -2

mu: kabhī to hamse kar lo do bāteṅ pyārā mukhaṛā moṛ ke
tum kaho to dhartī pe lā deṅ chāṇd-tāre toṛ ke
par ye vādā hamse kar lo jāoge nā chhoṛ ke
la: kabhī yād hameṅ …

yād ākar terī jo taṛpāe to koī k‌yā kare
terā dāman na hāthoṅ meṅ āe to koī k‌yā kare
chāṇd bhī āg ban jāe to koī k‌yā kare
mu: merī jān kuchh …

dil kisī ko ek din to dogī k‌yūṇ hameṅ detī nahīṅ
pās ākar ye to batā de k‌yā ham bure haiṅ o hasīṅ
chaudahvīṅ kā chāṇd ho tum ham bhī tujhse kam nahīṅ
la: kabhī yād hameṅ …
mu: merī jān kuchh …