Meree duniyaa hai tujh men kahee

मेरी दुनिया है तुझ में कही
Year
Language

मेरी दुनिया है तुझ में कहीं
तेरे बिन मैं क्या, कुछ भी नहीं
मेरी जान में तेरी जान है, ओ साथी मेरे

पलकों में तेरे रूप का सपना सजा दिया
पहली नजर में ही तुझे, अपना बना लिया
है यही आरजू, हर घड़ी बैठी रहो मेरे सामने

ऐसा लगा मेरे सनम, हम जो यहाँ मिले
सहरा में जैसे शबनमी चाहत के गुल खिले
ये जमीं, आसमान, कह रहें, हम तो कभी न होंगे जुदा

merī duniyā hai tujh meṅ kahīṅ
tere bin maiṅ kyā, kuchh bhī nahīṅ
merī jān meṅ terī jān hai, o sāthī mere

palkoṅ meṅ tere rūp kā sapnā sajā diyā
pahlī najar meṅ hī tujhe, apnā banā liyā
hai yahī ārjū, har ghaṛī baiṭhī raho mere sāmne

aisā lagā mere sanam, ham jo yahāṇ mile
sahrā meṅ jaise śhabanmī chāhat ke gul khile
ye jamīṅ, āsmān, kah raheṅ, ham to kabhī na hoṅge judā