Meree daastaan mujhe hee meraa dil sunaa ke roe

मेरी दास्ताँ मुझे ही मेरा दिल सुना के रोए
Year
Language

मेरी दास्ताँ मुझे ही मेरा दिल सुना के रोए
कभी रो के मुस्कराए कभी मुस्करा के रोए
मेरी दास्ताँ मुझे …

मिले ग़म से अपने फ़ुरसत तो मैं हाल पूछूँ उनका
शब-ए-ग़म से कोई कह दे कहीं और जा के रोए
मेरी दास्ताँ मुझे …

हमें वास्ता तड़प से हमें काम आँसुओं से
तुझे याद करके रोए या तुझे भुला के रोए
मेरी दास्ताँ मुझे …

वो जो आजमा रहे थे मेरी बेक़रारियों को
मेरे साथ-साथ वो भी मुझे आजमा के रोए
मेरी दास्ताँ मुझे …

merī dāstāṇ mujhe hī merā dil sunā ke roe
kabhī ro ke muskrāe kabhī muskrā ke roe
merī dāstāṇ mujhe …

mile ġham se apne furasat to maiṅ hāl pūchhūṇ unkā
śhab-e-ġham se koī kah de kahīṅ aur jā ke roe
merī dāstāṇ mujhe …

hameṅ vāstā taṛap se hameṅ kām āṇsuoṅ se
tujhe yād karke roe yā tujhe bhulā ke roe
merī dāstāṇ mujhe …

vo jo ājmā rahe the merī beqrāriyoṅ ko
mere sāth-sāth vo bhī mujhe ājmā ke roe
merī dāstāṇ mujhe …