Meree bindiyaa teree nindiyaa na uraa de to kahnaa

मेरी बिंदिया तेरी निंदिया न उड़ा दे तो कहना
Work
Year
Language

मेरी बिंदिया तेरी निंदिया न उड़ा दे तो कहना
मेरा काजल तुझको पागल न बना दे तो कहना
ओह ओ मेरी बिंदिया …

खनकेंगे खनखन जब मेरे कंगना
धड़केगा धकधक दिल तेरा सजना
मेरे झुमके तुमको तुमसे न चुरा लें तो कहना
ओह ओ मेरी बिंदिया …

मैं पूरे सोलह सिंगार कर लूं
दर्पण से बातें दो चार कर लूं
मेरा गजरा तुमको भंवरा न बना दे तो कहना
ओह ओ मेरी बिंदिया …

तेरी पसन्द अब मेरी पसन्द है
ये जान तेरी मुट्ठी में बन्द है
तू जो बोले मैं वह कर के न दिखा दूं तो कहना
मेरी बिंदिया …

मेरे नयना मेरे कंगना
मेरी चुनरी ओ मेरी चोली
मेरा जोबन मेरा दर्पण
मेरी बिंदिया …

merī biṅdiyā terī niṅdiyā na uṛā de to kahnā
merā kājal tujhko pāgal na banā de to kahnā
oh o merī biṅdiyā …

khankeṅge khankhan jab mere kaṅgnā
dhaṛkegā dhakadhak dil terā sajnā
mere jhumke tumko tumse na churā leṅ to kahnā
oh o merī biṅdiyā …

maiṅ pūre solah siṅgār kar lūṅ
darpaṇ se bāteṅ do chār kar lūṅ
merā gajrā tumko bhaṅvrā na banā de to kahnā
oh o merī biṅdiyā …

terī pasand ab merī pasand hai
ye jān terī muṭṭhī meṅ band hai
tū jo bole maiṅ vah kar ke na dikhā dūṅ to kahnā
merī biṅdiyā …

mere naynā mere kaṅgnā
merī chunrī o merī cholī
merā joban merā darpaṇ
merī biṅdiyā …