Meree aankhon men tum ho mere sapnon men tum ho

मेरी आँखों में तुम हो मेरे सपनों में तुम हो
Work
Year
Language

मेरी आँखों में तुम हो मेरे सपनों में तुम हो
मेरी धड़कन में तुम हो मेरी साँसों में तुम हो
अब ये हालात हैं दोनों अब साथ हैं
दिल में जज़्बात हैं हाथों में हाथ हैं
हम दोनों का ये प्यार है कितना प्यारा
मेरी आँखों में तुम …

तुम अगर हो हसीं है ज़िंदगी
तुम नहीं तो कुछ नहीं है ज़िंदगी
तुम से ही राहों में पाई है मैने हर खुशी
तुम ये जान लो तुम ये मान लो
तुम हो मेरी मंज़िल तुम ही रास्ता
मेरी आँखों में तुम …

मेरी हर साँस का संगीत हो
तुम कोई खुश्बू कोई रंग हो
तुमको जो देखे वो क्‌यूं न दंग हो
तुम जो आ गए दिल पे छा गए
तुमने मुझ पर जादू है कर दिया
मेरी आँखों में तुम …

merī āṇkhoṅ meṅ tum ho mere sapnoṅ meṅ tum ho
merī dhaṛkan meṅ tum ho merī sāṇsoṅ meṅ tum ho
ab ye hālāt haiṅ donoṅ ab sāth haiṅ
dil meṅ jazbāt haiṅ hāthoṅ meṅ hāth haiṅ
ham donoṅ kā ye pyār hai kitnā pyārā
merī āṇkhoṅ meṅ tum …

tum agar ho hasīṅ hai ziṅdgī
tum nahīṅ to kuchh nahīṅ hai ziṅdgī
tum se hī rāhoṅ meṅ pāī hai maine har khuśhī
tum ye jān lo tum ye mān lo
tum ho merī maṅzil tum hī rāstā
merī āṇkhoṅ meṅ tum …

merī har sāṇs kā saṅgīt ho
tum koī khuśhbū koī raṅg ho
tumko jo dekhe vo k‌yūṅ na daṅg ho
tum jo ā gae dil pe chhā gae
tumne mujh par jādū hai kar diyā
merī āṇkhoṅ meṅ tum …