मेरे सरहाने जलाओ सपनें
मुझे जरासी तो नींद आये
ख़याल चलते हैं आगे आगे
मैं उन की छाँव में चल रही हूँ
न जाने किस मोम से बनी हूँ
जो कतरा कतरा पिघल रही हूँ
मैं सहमी रहती हूँ नींद में भी
कहीं कोई ख्वाब डस न जाये
कभी बुलाता है कोई साया
कभी उड़ाती है धूल कोई
मैं एक भटकी हुई सी खुशबू
तलाश करती हूँ फूल कोई
ज़रा किसी शाख पर तो बैठूँ
ज़रा तो मुझ को हवा झुलाये
mere sarhāne jalāo sapneṅ
mujhe jarāsī to nīṅd āye
khayāl chalte haiṅ āge āge
maiṅ un kī chhāṇv meṅ chal rahī hūṇ
na jāne kis mom se banī hūṇ
jo katrā katrā pighal rahī hūṇ
maiṅ sahmī rahtī hūṇ nīṅd meṅ bhī
kahīṅ koī khvāb ḍas na jāye
kabhī bulātā hai koī sāyā
kabhī uṛātī hai dhūl koī
maiṅ ek bhaṭkī huī sī khuśhbū
talāśh kartī hūṇ phūl koī
zarā kisī śhākh par to baiṭhūṇ
zarā to mujh ko havā jhulāye