Mere pyaar men tujhe k‌yaa milaa

मेरे प्यार में तुझे क्‌या मिला
Work
Year
Language

मेरे प्यार में तुझे क्‌या मिला
मेरे दिल का फूल न खिल सका
मेरे प्यार में …

तेरा रंग-रूप उजड़ गया ये हसीन चेहरा उतर गया
न बहार है न सिंगार है न कोई ख़ुशी न क़रार है
मुझे अपने आप से है गिला
मेरे प्यार में …

रही दिल की दिल में ही हसरतें बनीं ज़हर प्यार की राहतें
मेरी मजबूरियाँ बनीं तेरी बेड़ियाँ तुझे खा गईं ये ख़ामोशियाँ
के ग़मों पे कुछ भी न बस चला
मेरे प्यार में …

मेरे दिल यहाँ से तू चल कहीं मुझे कोई जीने का हक़ नहीं
मैं करूँगा तेरा ही ख़ात्मा तेरे साथ अपना भी ख़ात्मा
मेरा आज है ( यही फ़ैसला ) -3
मेरे प्यार में …

mere pyār meṅ tujhe k‌yā milā
mere dil kā phūl na khil sakā
mere pyār meṅ …

terā raṅg-rūp ujaṛ gayā ye hasīn chehrā utar gayā
na bahār hai na siṅgār hai na koī khuśhī na qarār hai
mujhe apne āp se hai gilā
mere pyār meṅ …

rahī dil kī dil meṅ hī hasarteṅ banīṅ zahar pyār kī rāhteṅ
merī majbūriyāṇ banīṅ terī beṛiyāṇ tujhe khā gaīṅ ye khāmośhiyāṇ
ke ġhamoṅ pe kuchh bhī na bas chalā
mere pyār meṅ …

mere dil yahāṇ se tū chal kahīṅ mujhe koī jīne kā haq nahīṅ
maiṅ karūṇgā terā hī khātmā tere sāth apnā bhī khātmā
merā āj hai ( yahī faislā ) -3
mere pyār meṅ …