Mere naseeb men ai dost teraa pyaar naheen

मेरे नसीब में ऐ दोस्त तेरा प्यार नहीं
Work
Year
Language

खिज़ा के फूल पे आती कभी बहार नहीं
मेरे नसीब में ऐ दोस्त, तेरा प्यार नहीं
मेरे नसीब में ऐ दोस्त, तेरा प्यार नहीं …

ना जाने प्यार में कब मैं, ज़ुबां से फिर जाऊं
मैं बनके आँसू खुद अपनी, नज़र से गीर जाऊं
तेरी क़सम है मेरा कोई, ऐतबार नहीं
मेरे नसीब में …

मैं रोज़ लब पे नई एक, आह रखता हूँ
मैं रोज़ एक नये ग़म की राह तकता हूँ
किसी खुशी का मेरे दिल को, इन्तज़ार नहीं
मेरे नसीब में …

गरीब कैसे मोहब्बत, करे अमीरों से
बिछड़ गये हैं कई रांझे, अपनी हीरों से
किसी को अपने मुक़द्दर पे, इख्तियार नहीं
मेरे नसीब में …

खिज़ा के फूल पे आती कभी बहार नहीं
मेरे नसीब में ऐ दोस्त, तेरा प्यार नहीं

khizā ke phūl pe ātī kabhī bahār nahīṅ
mere nasīb meṅ ai dost, terā pyār nahīṅ
mere nasīb meṅ ai dost, terā pyār nahīṅ …

nā jāne pyār meṅ kab maiṅ, zubāṅ se phir jāūṅ
maiṅ banke āṇsū khud apnī, nazar se gīr jāūṅ
terī qasam hai merā koī, aitbār nahīṅ
mere nasīb meṅ …

maiṅ roz lab pe naī ek, āh rakhtā hūṇ
maiṅ roz ek naye ġham kī rāh taktā hūṇ
kisī khuśhī kā mere dil ko, intazār nahīṅ
mere nasīb meṅ …

garīb kaise mohabbat, kare amīroṅ se
bichhaṛ gaye haiṅ kaī rāṅjhe, apnī hīroṅ se
kisī ko apne muqaddar pe, ikhtiyār nahīṅ
mere nasīb meṅ …

khizā ke phūl pe ātī kabhī bahār nahīṅ
mere nasīb meṅ ai dost, terā pyār nahīṅ