मेरे महबूब तुझे, मेरी मुहब्बत की क़सम (लता)
मेरे महबूब तुझे मेरी मुहब्बत की कसम
फिर मुझे नर्गिसी आँखों का सहारा देदे
मेरा खोया हुआ रंगीन नज़ारा देदे
मेरे महबूब तुझे …
ऐ मेरे ख़्वाब की ताबीर मेरी जान-ए-जिगर
ज़िन्दगी मेरी तुझे याद किये जाती है
रात दिन मुझको सताता है तस्सव्वुर तेरा
दिल की धड़कन तुझे आवाज़ दिये जाती है
आ मुझे अपनी सदाओं का सहारा देदे
मेरा खोया हुआ रंगीन नज़ारा देदे
मेरे महबूब तुझे …
याद है मुझको मेरी उम्र की पहली वो घड़ी
तेरी आँखों से कोई जाम पिया था मैंने
मेरी रग-रग में कोई बर्क सी लहराई थी
जब तेरे मरमरी हाथों को छुआ था मैंने
आ मुझे फिर उन्हीं हाथों का सहारा देदे
मेरा खोया हुआ रंगीन नज़ारा देदे
मेरे महबूब तुझे …
सामने आके ज़रा परदा उठादे रुख से
इक यही मेरा इलाज-ए-ग़म है
तेरी फ़ुरक़त ने परेशान किया है मुझको
अब तो मिल जा के मेरी जान पे बन आई है
दिल को भूली हुई यादों का सहारा दे दे
मेरा खोया हुआ रंगीन नज़ारा दे दे
मेरे महबूब तुझे …
mere mahbūb tujhe merī muhabbat kī kasam
phir mujhe nargisī āṇkhoṅ kā sahārā dede
merā khoyā huā raṅgīn nazārā dede
mere mahbūb tujhe …
ai mere khvāb kī tābīr merī jān-e-jigar
zindgī merī tujhe yād kiye jātī hai
rāt din mujhko satātā hai tassavvur terā
dil kī dhaṛkan tujhe āvāz diye jātī hai
ā mujhe apnī sadāoṅ kā sahārā dede
merā khoyā huā raṅgīn nazārā dede
mere mahbūb tujhe …
yād hai mujhko merī umr kī pahlī vo ghaṛī
terī āṇkhoṅ se koī jām piyā thā maiṅne
merī rag-rag meṅ koī bark sī lahrāī thī
jab tere maramrī hāthoṅ ko chhuā thā maiṅne
ā mujhe phir unhīṅ hāthoṅ kā sahārā dede
merā khoyā huā raṅgīn nazārā dede
mere mahbūb tujhe …
sāmne āke zarā pardā uṭhāde rukh se
ik yahī merā ilāj-e-ġham hai
terī furaqat ne pareśhān kiyā hai mujhko
ab to mil jā ke merī jān pe ban āī hai
dil ko bhūlī huī yādoṅ kā sahārā de de
merā khoyā huā raṅgīn nazārā de de
mere mahbūb tujhe …