Mere mahboob tujhe, meree muhabbat kee qasam

मेरे महबूब तुझे, मेरी मुहब्बत की क़सम्
Year
Language

मेरे महबूब तुझे मेरी मुहब्बत की क़सम
फिर मुझे नरगिसी आँखों का सहारा दे दे
मेरा खोया हुआ रंगीन नज़ारा दे दे, मेरे महबूब तुझे …

भूल सकती नहीं आँखें वो सुहाना मंज़र
जब तेरा हुस्न मेरे इश्क़ से टकराया था
और फिर राह में बिखरे थे हज़ारोँ नग़में
मैं वो नग़में तेरी आवाज़ को दे आया था
साज़-ए-दिल को उन्हीं गीतों का सहारा दे दे
मेरा खोया …

याद है मुझको मेरी उम्र की पहली वो घड़ी
तेरी आँखों से कोई जाम पिया था मैने
मेरे रग रग में कोई बर्क़ सी लहराई थी
जब तेरे मरमरी हाथों को छुआ था मैने
आ मुझे फिर उन्हीं हाथों का सहारा दे दे
मेरा खोया …

मैने इक बार तेरी एक झलक देखी है
मेरी हसरत है के मैं फिर तेरा दीदार करूँ
तेरे साए को समझ कर मैं हंसीं ताजमहल
चाँदनी रात में नज़रों से तुझे प्यार करूँ
अपनी महकी हुई ज़ुल्फ़ों का सहारा दे दे
मेरा खोया …

ढूँढता हूँ तुझे हर राह में हर महफ़िल में
थक गये हैं मेरी मजबूर तमन्ना के कदम
आज का दिन मेरी उम्मीद का है आखिरी दिन
कल न जाने मैं कहाँ और कहाँ तू हो सनम
दो घड़ी अपनी निगाहों का सहारा दे दे
मेरा खोया …

सामने आ के ज़रा पर्दा उठा दे रुख़ से
इक यही मेरा इलाज-ए-ग़म-ए-तन्हाई है
तेरी फ़ुरक़त ने परेशान किया है मुझको
अब मिल जा के मेरी जान भी बन आई है
दिल को भूली हुई यादों का सहारा दे दे
मेरा खोया …

mere mahbūb tujhe merī muhabbat kī qasam
phir mujhe nargisī āṇkhoṅ kā sahārā de de
merā khoyā huā raṅgīn nazārā de de, mere mahbūb tujhe …

bhūl saktī nahīṅ āṇkheṅ vo suhānā maṅzar
jab terā husn mere iśhq se ṭakrāyā thā
aur phir rāh meṅ bikhre the hazāroṇ naġhmeṅ
maiṅ vo naġhmeṅ terī āvāz ko de āyā thā
sāz-e-dil ko unhīṅ gītoṅ kā sahārā de de
merā khoyā …

yād hai mujhko merī umr kī pahlī vo ghaṛī
terī āṇkhoṅ se koī jām piyā thā maine
mere rag rag meṅ koī barq sī lahrāī thī
jab tere maramrī hāthoṅ ko chhuā thā maine
ā mujhe phir unhīṅ hāthoṅ kā sahārā de de
merā khoyā …

maine ik bār terī ek jhalak dekhī hai
merī hasrat hai ke maiṅ phir terā dīdār karūṇ
tere sāe ko samajh kar maiṅ haṅsīṅ tājamahal
chāṇdnī rāt meṅ nazroṅ se tujhe pyār karūṇ
apnī mahkī huī zulfoṅ kā sahārā de de
merā khoyā …

ḍhūṇḍhtā hūṇ tujhe har rāh meṅ har mahafil meṅ
thak gaye haiṅ merī majbūr tamannā ke kadam
āj kā din merī ummīd kā hai ākhirī din
kal na jāne maiṅ kahāṇ aur kahāṇ tū ho sanam
do ghaṛī apnī nigāhoṅ kā sahārā de de
merā khoyā …

sāmne ā ke zarā pardā uṭhā de rukh se
ik yahī merā ilāj-e-ġham-e-tanhāī hai
terī furaqat ne pareśhān kiyā hai mujhko
ab mil jā ke merī jān bhī ban āī hai
dil ko bhūlī huī yādoṅ kā sahārā de de
merā khoyā …