Mere liye zindgee tere bagair kuchh naheen

मेरे लिये ज़िंदगी तेरे बगैर कुछ नहीं
Work
Language

मेरे लिये ज़िंदगी तेरे बगैर कुछ नहीं
तू है जहाँ मैं वहीं तेरे बगैर कुछ नहीं

1) जब तू है तो काहे का डर
कट जाएगा बाकी सफ़र
सब कुछ दिया भगवान ने
अच्छा सा दिल अच्छा सा घर
फिर भी मेरी बेख़ुदी, तेरे बगैर …

2) बैठे रहें देखा करें
छिड़ते रहें आँखों के तार
बढ़ती रहे अन्दर की प्यास
इस को ही तो कहते हैं प्यार
सुन ऐ मेरी मेहज़बीं, तेरे बगैर …

3) फूलों सा मन झरनों सा तन
तुझको मिले मेरे साजन
पूजा तेरी करती रहूँ
गाती रहूँ तेरे भजन
कोई दुआ आरती, तेरे बगैर …

mere liye ziṅdgī tere bagair kuchh nahīṅ
tū hai jahāṇ maiṅ vahīṅ tere bagair kuchh nahīṅ

1) jab tū hai to kāhe kā ḍar
kaṭ jāegā bākī safar
sab kuchh diyā bhagvān ne
achchhā sā dil achchhā sā ghar
phir bhī merī bekhudī, tere bagair …

2) baiṭhe raheṅ dekhā kareṅ
chhiṛte raheṅ āṇkhoṅ ke tār
baṛhtī rahe andar kī pyās
is ko hī to kahte haiṅ pyār
sun ai merī mehazbīṅ, tere bagair …

3) phūloṅ sā man jharnoṅ sā tan
tujhko mile mere sājan
pūjā terī kartī rahūṇ
gātī rahūṇ tere bhajan
koī duā ārtī, tere bagair …