chalā jātā hūṇ, kisī kī dhun meṅ
dhaṛakte dil ke, tarāne liye
milan kī mastī, bharī āṇkhoṅ meṅ
hazāroṅ sapne, suhāne liye, chalā jātā hūṇ…
ye mastī ke, nazāreṅ haiṅ, to aise meṅ
sambhalnā kaisā merī qasam
tū lahrātī, ḍagriyā ho, to phir kyūṇ nā
chalūṇ maiṅ bahkā bahkā re
mere jīvan meṅ, ye śhām āī hai
muhabbat vāle, zamāne liye, chalā jātā hūṇ…
vo ālam bhī, ajab hogā, vo jab mere
karīb āegī merī qasam
kabhī baiyāṇ chhuṛā legī, kabhī hṇske
gale se lag jāegī hāy
merī bāhoṅ meṅ, machal jāegī
vo sachche jhūṭhe bahāne liye, chalā jātā hūṇ…
bahāroṅ meṅ, nazāroṅ meṅ, nazar ḍālūṇ
to aisā lāge merī qasam
vo nainoṅ meṅ, bhare kājal, ghūṇghaṭ khole
khaḍī haiṅ mere āge re
śharam se bojhal jhukī palkoṅ meṅ
javāṇ rātoṅ ke fasāne liye, chalā jātā hūṇ…