chalo sajnā jahāṇ tak ghaṭā chale
lagākar mujhe gale
chalo sajnā jahāṇ tak ghaṭā chale
suṅdar sapnoṅ kī hai maṅzil kadam ke nīche
fursat kisko itnī, dekhe jo muṛke pīchhe
tum chalo ham chaleṅ, ham chaleṅ tum chalo
sāvan kī havā chale
chalo sajnā jahāṇ…
dhaṛkan tumre dilkī, uljhī hamārī laṭ meṅ
tumre tan kī chhāyā, kājal banī palak meṅ
ek haiṅ do badan, do badan ek haiṅ
āṇchal ke tale-tale
chalo sajnā jahāṇ…
patthrīlī rāhoṅ meṅ tum saṅg maiṅ jhūm lūṇgī
khāoge jab ṭhokar, hoṅṭhoṅ se chūm lūṇgī
pyār kā āj se, āj kā pyār se
hamse silsilā chale
chalo sajnā jahāṇ…