Mere doston mujhe aajkal na to chain hai

मेरे दोस्तों मुझे आजकल न तो चैन है
Work
Year
Language

मेरे दोस्तों मुझे आजकल न तो चैन है न करार है
मेरा सिर्फ़ इतना कुसूर है मुझे एक लड़की से प्यार है
मेरे दोस्तों मुझे …

तुम्हें दिल का हाल सुनाऊं क्‌या वो है कौन तुमको बताऊं क्‌या
मेरी आरज़ू का वो गीत है मेरी धड़कनों की पुकार है
मेरे दोस्तों मुझे …

मेरे दिल में जैसे उतर गईं वो हसीं निगाहें किरन किरन
मेरी साँस साँस महक उठी के वो लड़की जैसे बहार है
मेरे दोस्तों मुझे …

कभी सोचता हूँ वो दूर है कभी सोचता हूं वो पास है
मुझे हल्का हल्का सा होश है मुझे हल्का हल्का खुमार है
मेरे दोस्तों मुझे …

mere dostoṅ mujhe ājkal na to chain hai na karār hai
merā sirf itnā kusūr hai mujhe ek laṛkī se pyār hai
mere dostoṅ mujhe …

tumheṅ dil kā hāl sunāūṅ k‌yā vo hai kaun tumko batāūṅ k‌yā
merī ārazū kā vo gīt hai merī dhaṛaknoṅ kī pukār hai
mere dostoṅ mujhe …

mere dil meṅ jaise utar gaīṅ vo hasīṅ nigāheṅ kiran kiran
merī sāṇs sāṇs mahak uṭhī ke vo laṛkī jaise bahār hai
mere dostoṅ mujhe …

kabhī sochtā hūṇ vo dūr hai kabhī sochtā hūṅ vo pās hai
mujhe halkā halkā sā hośh hai mujhe halkā halkā khumār hai
mere dostoṅ mujhe …