मेरे दिल बता ... जहाँ वो लड़की मिल जाए
हाय मेरे दिल बता मेरे दिल बता तुझको तो होगा पता
जहाँ वो लड़की मिल जाए हर दूरी मिट जाए
है कौन सा वो रस्ता so nice
मेरे दिल बता …
जिस लड़की से प्यार है मुझे
क्या वो मुझे प्यार करेगी
मेरे ख्वाबों की तस्वीरों में
क्या वो लड़की रंग भरेगी
क्या कभी नहीं ये होगा
क्या कभी कहीं ये होगा
क्या लगता है क्या होना है
अच्छा होगा या बुरा
हो मेरे दिल बता …
मेरे दिल जो तमन्ना है मेरी
क्या पूरी हो पाएगी
मैं जिसका दीवाना हूँ वो
क्या मेरी हो जाएगी
हम दोनों क्या साथ होंगे
क्या हाथों में हाथ होंगे
क्या लगता है क्या होना है
मेरे दिल मुझसे ना छुपा
हाय मेरे दिल बता …
hāy mere dil batā mere dil batā tujhko to hogā patā
jahāṇ vo laṛkī mil jāe har dūrī miṭ jāe
hai kaun sā vo rastā so nice
mere dil batā …
jis laṛkī se pyār hai mujhe
kyā vo mujhe pyār karegī
mere khvāboṅ kī tasvīroṅ meṅ
kyā vo laṛkī raṅg bharegī
kyā kabhī nahīṅ ye hogā
kyā kabhī kahīṅ ye hogā
kyā lagtā hai kyā honā hai
achchhā hogā yā burā
ho mere dil batā …
mere dil jo tamannā hai merī
kyā pūrī ho pāegī
maiṅ jiskā dīvānā hūṇ vo
kyā merī ho jāegī
ham donoṅ kyā sāth hoṅge
kyā hāthoṅ meṅ hāth hoṅge
kyā lagtā hai kyā honā hai
mere dil mujhse nā chhupā
hāy mere dil batā …