Mere chehre pe likhaa hai afsaanaa aapkaa ... maine bhee kabool kiyaa hai

मेरे चेहरे पे लिखा है अफ़साना आपका ... मैने भी कबूल किया है
Work
Year
Language

मेरे चेहरे पे लिखा है अफ़साना आपका
सब जान गए कि मैं हूँ दीवाना आपका
मेरे चेहरे पे लिखा है …

मैने भी कबूल किया है नज़राना आपका
दिलबर ये मेरा भी दिल है दीवाना आपका

महबूब कसम है रब की इकरार किया न मैने
सब जान गए फिर कैसे इजहार किया न मैने
चुपके से सनम चोरी से मुलाक़ात हुई है तुमसे
सब जान गए फिर कैसे जो बात हुई है तुमसे
अरे राज़ बता देता है घबड़ाना आपका
सब जान गए हैं कि …

जब फूल खिले बाहों में खुश्बू तो बिखरती जाए
हर बात छुपा ले कोई पर प्यार छुपा न पाए
जब आग लगे इस तन में उठता है धुआं साँसों से
तस्वीर मेरी दिखती है हमराह की दो आँखों से
बेचैन मुझे करता है तड़पाना आपका
दिलबर ये मेरा भी दिल …

mere chehre pe likhā hai afsānā āpkā
sab jān gae ki maiṅ hūṇ dīvānā āpkā
mere chehre pe likhā hai …

maine bhī kabūl kiyā hai nazrānā āpkā
dilbar ye merā bhī dil hai dīvānā āpkā

mahbūb kasam hai rab kī ikrār kiyā na maine
sab jān gae phir kaise ijhār kiyā na maine
chupke se sanam chorī se mulāqāt huī hai tumse
sab jān gae phir kaise jo bāt huī hai tumse
are rāz batā detā hai ghabaṛānā āpkā
sab jān gae haiṅ ki …

jab phūl khile bāhoṅ meṅ khuśhbū to bikhartī jāe
har bāt chhupā le koī par pyār chhupā na pāe
jab āg lage is tan meṅ uṭhtā hai dhuāṅ sāṇsoṅ se
tasvīr merī dikhtī hai hamrāh kī do āṇkhoṅ se
bechain mujhe kartā hai taṛpānā āpkā
dilbar ye merā bhī dil …