Meraa prem himaalay se oonchaa saagar se gahraa

मेरा प्रेम हिमालय से ऊँचा सागर से गहरा
Work
Year
Language

मेरा प्रेम हिमालय से ऊँचा सागर से गहरा प्यार मेरा
अपना कह दे इक बार मुझे होगा उपकार तेरा
मेरा प्रेम हिमालय से …

जब मस्त पवन के गीतों पे बजती है बहारों की पायल
चंचल नदिया की बाँहों में जब घिर आए प्यासा बादल
तब याद मुझे तेरी आती है कुछ तुझपे अधिकार मेरा
मेरा प्रेम हिमालय से …

नैनों में हैं अमृत के प्याले तन नील-गगन सा निर्मल है
वाणी में है वीणा की सरगम मन फूल से भी तेरा कोमल है
तुझे देख के ऐसा लगता है कितना सुन्दर संसार मेरा
मेरा प्रेम हिमालय से …

merā prem himālay se ūṇchā sāgar se gahrā pyār merā
apnā kah de ik bār mujhe hogā upkār terā
merā prem himālay se …

jab mast pavan ke gītoṅ pe bajtī hai bahāroṅ kī pāyal
chaṅchal nadiyā kī bāṇhoṅ meṅ jab ghir āe pyāsā bādal
tab yād mujhe terī ātī hai kuchh tujhpe adhikār merā
merā prem himālay se …

nainoṅ meṅ haiṅ amṛt ke pyāle tan nīl-gagan sā nirmal hai
vāṇī meṅ hai vīṇā kī sargam man phūl se bhī terā komal hai
tujhe dekh ke aisā lagtā hai kitnā sundar saṅsār merā
merā prem himālay se …