Meraa dil tarpaa kar kahaan chalaa

मेरा दिल तड़पा कर कहाँ चला
Work
Year
Language

मेरा दिल तड़पा कर कहाँ चला इतना तो बता के जा
इसे खेल कहूँ या प्यार कहूँ मुझे ये समझा के जा
मेरा दिल तड़पा कर …

होंठों पर ना आँखों में हाँ कुछ रूठे कुछ माने हुए
इकरार है यह इनकार है यह इतना तो बता के जा
मेरा दिल तड़पा कर …

जी भर के सताया तूने हमें अब चोरी चोरी जाने लगी
ओ दूर देश के सौदागर कर्ज़ा तो चुका के जा
मेरा दिल तड़पा कर …

merā dil taṛpā kar kahāṇ chalā itnā to batā ke jā
ise khel kahūṇ yā pyār kahūṇ mujhe ye samjhā ke jā
merā dil taṛpā kar …

hoṅṭhoṅ par nā āṇkhoṅ meṅ hāṇ kuchh rūṭhe kuchh māne hue
ikrār hai yah inkār hai yah itnā to batā ke jā
merā dil taṛpā kar …

jī bhar ke satāyā tūne hameṅ ab chorī chorī jāne lagī
o dūr deśh ke saudāgar karzā to chukā ke jā
merā dil taṛpā kar …