Meraa dil bhee kitnaa paagal hai, ye pyaar jo tum se kartaa hai

मेरा दिल भी कितना पागल है, ये प्यार जो तुम से करता है
Work
Year
Language

(मेरा दिल भी कितना पागल है
ये प्यार जो तुम से करता है ) - 2

पर सामने जब तुम आते हो, कुछ भी कहने से डरता है
ओ मेरे साजन, ओ मेरे साजन, साजन साजन, मेरे साजन्…

मेरा दिल भी कितना पागल है …

कितना इसको समझाता हूँ, कितना इसको बहलाता हूँ -2
नादां है कुछ न समझता है, दिन रात ये आहें भरता है …

मेरा दिल भी कितना पागल है …

हर पल मुझको तड़पाता है, मुझे सारी रात जगाता है -2
इस बात कि तुमको खबर नहीं, ये सिर्फ़ तुम्ही पे मरता है

मेरा दिल भी कितना पागल है …

(merā dil bhī kitnā pāgal hai
ye pyār jo tum se kartā hai ) - 2

par sāmne jab tum āte ho, kuchh bhī kahne se ḍartā hai
o mere sājan, o mere sājan, sājan sājan, mere sājan…

merā dil bhī kitnā pāgal hai …

kitnā isko samjhātā hūṇ, kitnā isko bahlātā hūṇ -2
nādāṅ hai kuchh na samajhtā hai, din rāt ye āheṅ bhartā hai …

merā dil bhī kitnā pāgal hai …

har pal mujhko taṛpātā hai, mujhe sārī rāt jagātā hai -2
is bāt ki tumko khabar nahīṅ, ye sirf tumhī pe martā hai

merā dil bhī kitnā pāgal hai …