tū jahāṇ jahāṇ chalegā, merā sāyā sāth hogā
merā sāyā, merā sāyā, merā sāyā, merā sāyā
kabhī mujh ko yād kar ke jo baheṅge tere āṇsū
to vahī pe rok leṅge unhe ā ke mere āṇsū
tū jidhar kā rukh karegā, merā sāyā sāth hogā
tū agar udās hogā, to udās rahūṅgī maiṅ bhī
nazar āūṇ yā nā āūṇ tere pās rahūṅgī maiṅ bhī
tū kahī bhī jā rahegā, merā sāyā sāth hogā
maiṅ agar bichhaṛ bhī jāūṇ, kabhī merā ġham na karnā
merā pyār yād kar ke, kabhī āṇkh nam na karnā
tū jo mūḍ ke dekh legā, merā sāyā sāth hogā
mere gam rahā hai śhāmil tere duḥakh meṅ, tere ġham meṅ
mere pyār ne diyā hai, terā sāth har janam meṅ
tū koī janam bhī legā, merā sāyā sāth hogā