tū jahāṇ jahāṇ chalegā, merā sāyā, sāth hogā
merā sāyā, merā sāyā
kabhī mujhko yād karke, jo baheṅge tere āṇsū
to vahīṅ pe rok leṅge, unheṅ āke mere āṇsū
tū jidhar kā rukh karegā, merā sāyā, sāth hogā …
tū agar udās hogā, to udās hūṇgī maiṅ bhī
nazar āūṇ yā nā āūṇ, tere pās hūṇgī maiṅ bhī
tū kahīṅ bhī jā rahegā, merā sāyā, sāth hogā …
maiṅ agar bichhaṛ bhī jāūṇ, kabhī merā ġham na karnā
merā pyār yād karke, kabhī āṇkh nam na karnā
tū jo muṛke dekh legā, merā sāyā, sāth hogā …
merā ġham rahā hai śhāmil, tere dukh meṅ, tere ġham meṅ
mere pyār ne diyā hai, terā sāth har janam meṅ
tū koī janam bhī legā, merā sāyā sāth hogā …