Mehandee rang laaee ... machee hai dhoom

मेहंदी रंग लाई ... मची है धूम्
Year
Language

मेहंदी मेहंदी शगुन की मेहंदी
मेहंदी मेहंदी पिया की मेहंदी
रंग लाई बन्नो जी के हाथ मेहंदी रंग लाई
रंग लाई लाडो जी के हाथ मेहंदी रंग लाई
ये मेहंदी तेरे भैया ने लाई भाभी जी के साथ
मेहंदी रंग लाई
ओ रंग लाई बन्नो जी …

धूम मची है धूम
मची है धूम हमारे घर में
तुम्हारे साजन हैं आने वाले
है ये इजाज़त सोणे सजन को
के आज तुमको गले लगा लें
मची है धूम …

खनकती चूड़ी कहती है
वो घोड़ी चढ़ के आएंगे
सजा के फूलों से डोली
तुम्हें घर ले के जाएंगे
कभी रूठेंगे ना तुमसे
सारे नखरे उठाएंगे
मची है धूम …

तुम्हारी शादी में हम भी
नाचने गाने आए हैं
तुम्हें देने की खातिर हम
दिलों का तोहफ़ा लाए हैं
खुशी से दे को तुम हमको
तुम्हारी जो बलाएँ हैं
रहे ग़म दूर सदा तुमसे
यही अपनी दुआएँ हैं
मची है धूम …

mehaṅdī mehaṅdī śhagun kī mehaṅdī
mehaṅdī mehaṅdī piyā kī mehaṅdī
raṅg lāī banno jī ke hāth mehaṅdī raṅg lāī
raṅg lāī lāḍo jī ke hāth mehaṅdī raṅg lāī
ye mehaṅdī tere bhaiyā ne lāī bhābhī jī ke sāth
mehaṅdī raṅg lāī
o raṅg lāī banno jī …

dhūm machī hai dhūm
machī hai dhūm hamāre ghar meṅ
tumhāre sājan haiṅ āne vāle
hai ye ijāzat soṇe sajan ko
ke āj tumko gale lagā leṅ
machī hai dhūm …

khanaktī chūṛī kahtī hai
vo ghoṛī chaṛh ke āeṅge
sajā ke phūloṅ se ḍolī
tumheṅ ghar le ke jāeṅge
kabhī rūṭheṅge nā tumse
sāre nakhre uṭhāeṅge
machī hai dhūm …

tumhārī śhādī meṅ ham bhī
nāchne gāne āe haiṅ
tumheṅ dene kī khātir ham
diloṅ kā tohafā lāe haiṅ
khuśhī se de ko tum hamko
tumhārī jo balāeṇ haiṅ
rahe ġham dūr sadā tumse
yahī apnī duāeṇ haiṅ
machī hai dhūm …