Matalab nikal gayaa hai to, pahchaante naheen

मतलब निकल गया है तो, पहचानते नहीं
Work
Year
Language

मतलब निकल गया है तो, पहचानते नहीं
यूँ जा रहे हैं जैसे हमें, जानते नहीं

अपनी गरज़ थी जब तो लिपटना क़बूल था
बाहों के दायरे में सिमटना क़बूल था
अब हम मना रहे हैं मगर मानते नहीं

हमने तुम्हें पसंद किया, क्‌या बुरा किया
रुतबा ही कुछ बलन्द किया क्‌या बुरा किया
हर इक गली की ख़ाक तो हम छानते नहीं

मुँह फेर कर न जाओ हमारे क़रीब से
मिलता है कोई चाहने वाला नसीब से
इस तरह आशिक़ों पे कमाँ तानते नहीं

matalab nikal gayā hai to, pahchānte nahīṅ
yūṇ jā rahe haiṅ jaise hameṅ, jānte nahīṅ

apnī garaz thī jab to lipaṭnā qabūl thā
bāhoṅ ke dāyre meṅ simaṭnā qabūl thā
ab ham manā rahe haiṅ magar mānte nahīṅ

hamne tumheṅ pasaṅd kiyā, k‌yā burā kiyā
rutbā hī kuchh baland kiyā k‌yā burā kiyā
har ik galī kī khāk to ham chhānte nahīṅ

muṇh pher kar na jāo hamāre qarīb se
miltā hai koī chāhne vālā nasīb se
is tarah āśhiqoṅ pe kamāṇ tānte nahīṅ