Mat jaeeyo naukriyaa chhor ke

मत जईयो नौकरिया छोड़ के
Work
Year
Language

मत जईयो नौकरिया छोड़ के तोरे पैयाँ पड़ूँ बलमा -2
तोरे पैयाँ पड़ूँ मैं बिनती करूँ -2
मत जईयो नौकरिया …

देख पिया परदेस में ऐसी रूप की छया नाहीं मिलेगी -2
पैसा रुपईया मिल जाएगा प्रेम की माया नाहीं मिलेगी
प्रीत नहीं तो कुछ भी नहीं है साँची कहूँ बलमा
मत जईयो नौकरिया …

प्रीत करो और रीत न जानो तुम तो हो सैयाँ एक अनाड़ी -2
भूल भई ये मोसे प्रीतम जो मैं जियरवा तोसे हारी
जाओ मैं तुमसे ना बोलूँगी साँची कहूँ बलमा
मत जईयो नौकरिया …

दीपक लईके ढूँढ लो जग में हमसी मोहनिया ना पाओगे -2
जिसके गोरे गाल पे तिल हो ऐसी सजनिया ना पाओगे
हमसे बिछड़ के पछताओगे साँची कहूँ बलमा
मत जईयो नौकरिया …

mat jaīyo naukriyā chhoṛ ke tore paiyāṇ paṛūṇ balmā -2
tore paiyāṇ paṛūṇ maiṅ bintī karūṇ -2
mat jaīyo naukriyā …

dekh piyā pardes meṅ aisī rūp kī chhayā nāhīṅ milegī -2
paisā rupaīyā mil jāegā prem kī māyā nāhīṅ milegī
prīt nahīṅ to kuchh bhī nahīṅ hai sāṇchī kahūṇ balmā
mat jaīyo naukriyā …

prīt karo aur rīt na jāno tum to ho saiyāṇ ek anāṛī -2
bhūl bhaī ye mose prītam jo maiṅ jiyarvā tose hārī
jāo maiṅ tumse nā bolūṇgī sāṇchī kahūṇ balmā
mat jaīyo naukriyā …

dīpak laīke ḍhūṇḍh lo jag meṅ hamsī mohniyā nā pāoge -2
jiske gore gāl pe til ho aisī sajniyā nā pāoge
hamse bichhaṛ ke pachhtāoge sāṇchī kahūṇ balmā
mat jaīyo naukriyā …