Mastee men chherke taraanaa koee dil kaa

मस्ती में छेड़के तराना कोई दिल का
Work
Year
Language

मस्ती में छेड़के तराना कोई दिल का
आज लुटायेगा खज़ाना कोई दिल का
मस्ती में छेड़के …

प्यार बहलता नहीं बहलाने से
लो मैं चमन को चला वीराने से
शमा है कब से जुदा परवाने से
अश्क़ थमेंगे नज़र मिल जाने से
दिल से मिलेगा दीवाना कोई दिल का
आज लुटायेगा खज़ाना कोई दिल का
मस्ती में छेड़के …

मिलके वो पहले बहुत शरमाएगी
आगे बढ़ेगी मगर रुक जाएगी
होके करीब कभी घबराएगी
और करीब कभी खिंच आएगी
खेल नहीं है मनाना कोई दिल का
आज लुटायेगा खज़ाना कोई दिल का
मस्ती में छेड़के …

मुखड़े से ज़ुल्फ़ ज़रा सरकाऊंगा
सुलझेगा प्यार उलझ मैं जाऊंगा
पाके भी हाय बहुत पछताऊंगा
ऐसा सुक़ून कहाँ फिर पाऊंगा
और नहीं है ठिकाना कोई दिल का
आज लुटायेगा खज़ाना कोई दिल का
मस्ती में छेड़के …

mastī meṅ chheṛke tarānā koī dil kā
āj luṭāyegā khazānā koī dil kā
mastī meṅ chheṛke …

pyār bahaltā nahīṅ bahlāne se
lo maiṅ chaman ko chalā vīrāne se
śhamā hai kab se judā parvāne se
aśhq thameṅge nazar mil jāne se
dil se milegā dīvānā koī dil kā
āj luṭāyegā khazānā koī dil kā
mastī meṅ chheṛke …

milke vo pahle bahut śharmāegī
āge baṛhegī magar ruk jāegī
hoke karīb kabhī ghabrāegī
aur karīb kabhī khiṅch āegī
khel nahīṅ hai manānā koī dil kā
āj luṭāyegā khazānā koī dil kā
mastī meṅ chheṛke …

mukhaṛe se zulf zarā sarkāūṅgā
suljhegā pyār ulajh maiṅ jāūṅgā
pāke bhī hāy bahut pachhtāūṅgā
aisā suqūn kahāṇ phir pāūṅgā
aur nahīṅ hai ṭhikānā koī dil kā
āj luṭāyegā khazānā koī dil kā
mastī meṅ chheṛke …