Dhinak dhin taanaa vo dhun bajaanaa

धिनक धिन ताना वो धुन बजाना
Work
Year
Language

धिनक धिन ताना, वो धुन तो बजाना
धिनक धिन नाचूँ मैं गाये दिल, झूमें ज़माना

बुलाये रुन झुन, रुन झुन, रुन झुन करती पायल
हवा में उड़ता उड़ता आये महका आँचल
तुझे बतलाऊँगी मैं मन की सारी बातें
गुज़ारे कैसे कैसे मैं ने ये दिन रातें
मेरे नैनों के दर्पण में
तेरी यादों के आँगन में
मेरी साँसों में, जीवन में
सिर्फ़ तेरी खुशबू है, सिर्फ़ तेरा चेहरा है
सिर्फ़ तेरा चर्चा है, सिर्फ़ तेरा पहरा है
धिनक धिन ताना …

तेरे बिना जीना जीना जीना, अब नहीं जीना
जुदाई वाला आँसों अब हमको नहीं पीना
तुझे मैं अलकों पलकों में अपनी रख लूँगी
तुझे मैं पल-पल पल-पल सच्ची चाहत दूँगी
तुझे बाहों में भर लूँगा
तेरी ज़ुल्फ़ों से खेलूँगा
तेरे सारे ग़म ले लूँगा
तू ही मेरा दिलबर है, तू ही मेरी धड़कन है
तू ही मेरा जानम है, तू ही मेरा हमदम है
धिनक धिन ताना …

dhinak dhin tānā, vo dhun to bajānā
dhinak dhin nāchūṇ maiṅ gāye dil, jhūmeṅ zamānā

bulāye run jhun, run jhun, run jhun kartī pāyal
havā meṅ uṛtā uṛtā āye mahkā āṇchal
tujhe batlāūṇgī maiṅ man kī sārī bāteṅ
guzāre kaise kaise maiṅ ne ye din rāteṅ
mere nainoṅ ke darpaṇ meṅ
terī yādoṅ ke āṇgan meṅ
merī sāṇsoṅ meṅ, jīvan meṅ
sirf terī khuśhbū hai, sirf terā chehrā hai
sirf terā charchā hai, sirf terā pahrā hai
dhinak dhin tānā …

tere binā jīnā jīnā jīnā, ab nahīṅ jīnā
judāī vālā āṇsoṅ ab hamko nahīṅ pīnā
tujhe maiṅ alkoṅ palkoṅ meṅ apnī rakh lūṇgī
tujhe maiṅ pal-pal pal-pal sachchī chāhat dūṇgī
tujhe bāhoṅ meṅ bhar lūṇgā
terī zulfoṅ se khelūṇgā
tere sāre ġham le lūṇgā
tū hī merā dilbar hai, tū hī merī dhaṛkan hai
tū hī merā jānam hai, tū hī merā hamdam hai
dhinak dhin tānā …