Mandve tale ghareeb ke, do phool khil rahe hain

मंडवे तले ग़रीब के, दो फूल खिल रहे हैं
Year
Language

हो साथ अगर पहलू में इक मस्त-ए-शबाब
इक जाम हो और हाथ में शेरों की क़िताब
इक साज़ हो और साज़ पे गाती हो हसीना
बन जाए ये वीराना बहारों का जवाब

मंडवे तले ग़रीब के, दो फूल खिल रहे हैं
ऐ रात तू न जाना, ऐ चाँद तू न जाना
ये नौबहार, चुपके से देखो, नज़रें न तुम मिलाना
मंडवे तले ग़रीब के, दो फूल खिल रहे हैं

मौसम-ए-इश्क़ है, ज़रा होश सम्भाल
हासिल तुझे महबूब है, अर्माँ निकाल
कुछ बात तो करले, नहीं कल की ख़बर
क्‌या है ग़म-ए-दुनिया, उसे ख़ाक़ में डाल
मंडवे तले ग़रीब के, दो फूल खिल रहे हैं

ho sāth agar pahlū meṅ ik mast-e-śhabāb
ik jām ho aur hāth meṅ śheroṅ kī qitāb
ik sāz ho aur sāz pe gātī ho hasīnā
ban jāe ye vīrānā bahāroṅ kā javāb

maṅḍve tale ġharīb ke, do phūl khil rahe haiṅ
ai rāt tū na jānā, ai chāṇd tū na jānā
ye naubhār, chupke se dekho, nazreṅ na tum milānā
maṅḍve tale ġharīb ke, do phūl khil rahe haiṅ

mausam-e-iśhq hai, zarā hośh sambhāl
hāsil tujhe mahbūb hai, armāṇ nikāl
kuchh bāt to karle, nahīṅ kal kī khabar
k‌yā hai ġham-e-duniyā, use khāq meṅ ḍāl
maṅḍve tale ġharīb ke, do phūl khil rahe haiṅ