Man k‌yon bahkaa re bahkaa aadhee raat ko

मन क्‌यों बहका रे बहका आधी रात को
Work
Year
Language

(मन क्‌यों बहका रे बहका आधी रात को
बेला महका हो
बेला महका रे महका आधी रात को) -2
किसने बँसी बजाई आधी रात को
जिसने पलकें हो
जिसने पलकें चुराई आधी रात को
मन क्‌यों …
बेला महका रे महका आधी रात को

झाँझर झमके सुन -3
झमके आधी रात को
उसको टोको न रोको, रोको न टोको, टोको न रोको, आधी रात को
ओ लाज लगे रे लगे आधी रात को -2
बिना सिन्दूर सोऊँ आधी रात को
बेला महका रे महका आधी रात को
मन क्‌यों …

(बात कहते बने क्‌या आधी रात को
आँख खोलेगी बात आधी रात को) -2
हमने पी चाँदनी आधी रात को -2
चाँद आँखों में आया आधी रात को

बेला महका रे महका आधी रात को
मन क्‌यों …

(रात गुनती रहेगी आधी बात को
आधी बातों की प्रीत आधी रात को) -2
रात पूरी हो कैसी आधी रात को -2
रात होती शुरू है आधी रात को

मन क्‌यों …
बेला महका रे महका आधी रात को
मन क्‌यों …

(man k‌yoṅ bahkā re bahkā ādhī rāt ko
belā mahkā ho
belā mahkā re mahkā ādhī rāt ko) -2
kisne bṇsī bajāī ādhī rāt ko
jisne palkeṅ ho
jisne palkeṅ churāī ādhī rāt ko
man k‌yoṅ …
belā mahkā re mahkā ādhī rāt ko

jhāṇjhar jhamke sun -3
jhamke ādhī rāt ko
usko ṭoko na roko, roko na ṭoko, ṭoko na roko, ādhī rāt ko
o lāj lage re lage ādhī rāt ko -2
binā sindūr soūṇ ādhī rāt ko
belā mahkā re mahkā ādhī rāt ko
man k‌yoṅ …

(bāt kahte bane k‌yā ādhī rāt ko
āṇkh kholegī bāt ādhī rāt ko) -2
hamne pī chāṇdnī ādhī rāt ko -2
chāṇd āṇkhoṅ meṅ āyā ādhī rāt ko

belā mahkā re mahkā ādhī rāt ko
man k‌yoṅ …

(rāt guntī rahegī ādhī bāt ko
ādhī bātoṅ kī prīt ādhī rāt ko) -2
rāt pūrī ho kaisī ādhī rāt ko -2
rāt hotī śhurū hai ādhī rāt ko

man k‌yoṅ …
belā mahkā re mahkā ādhī rāt ko
man k‌yoṅ …