raheṅ nā raheṅ ham, mahkā kareṅge
ban ke kalī, ban ke sabā, bāġhe vafā meṅ …
mausam koī ho is chaman meṅ
raṅg banke raheṅge in fizā meṅ
chāhat kī khuśhbū, yūṇ hī zulfoṅ
se uṛegī, khizāyoṅ yā bahāreṅ
yūṇhī jhūmte, yuhīṇ jhūmte aur
khilte raheṅge, ban ke kalī ban ke sabā bāġheṅ vafā meṅ
raheṅ nā raheṅ ham …
khoye ham aise kyā hai milnā
kyā bichhaṛnā nahīṅ hai, yād hamko
guṅche meṅ dil ke jab se āye
sirf dil kī zamīṅ hai, yād hamko
isī sarazmīṅ, isī sarazmīṅ pe
ham to raheṅge, ban ke kalī ban ke sabā bāġhe vafā meṅ
raheṅ nā raheṅ ham …
jab ham na hoṅge tab hamārī
khāk pe tum rukoge chalte chalte
aśhkoṅ se bhīgī chāṅdnī meṅ
ik sadā sī sunoge chalte chalte
vahīṅ pe kahīṅ, vahīṅ pe kahīṅ ham
tumse mileṅge, ban ke kalī ban ke sabā bāġhe vafā meṅ …
raheṅ nā raheṅ ham, mahkā kareṅge …
Duet Version
suman: hai khūbsūrat ye nazāre
ye bahāreṅ hamāre dam-qadam se
rafī: ziṅdā huī hai phir jahāṇ meṅ
āj iśhq-o-vafā kī rasm ham se
donoṅ: yūṇhī is chaman, yūṇhī is chaman kī
zīnat raheṅge, ban ke kalī ban ke sabā bāġh-e-vafā meṅ
raheṅ nā raheṅ ham ...