Title (Indic)ज़िंदगी की क़सम, हो चुके उनके हम् WorkMalik Year1958 LanguageHindi Credits Role Artist Music Ghulam Mohammed Performer Talat Mahmood Writer Shakeel Badayuni LyricsHindiज़िंदगी की क़सम, हो चुके उनके हम यह ज़माना दीवाना जो चाहे कहे प्यार करके निभाना बड़ी चीज़ है दिल की दुनिया भी आखिर कोई चीज़ है ज़िंदगी भर न हम उनसे होंगे जुदा दिल की राहों पे चलते रहेंगे सदा जैसे तूफ़ान की मौजों में साहिल रहे ज़ोर किसका चला है, भला इश्क़ पर अपना-अपना है दिल, अपनी-अपनी नज़र यह न होगा के हम उनसे मुँह मोड़ लें डोर तक़दीर की बाँधकर तोड़ दें आदमी वो जो वादे पे कायम रहे Englishziṅdgī kī qasam, ho chuke unke ham yah zamānā dīvānā jo chāhe kahe pyār karke nibhānā baṛī chīz hai dil kī duniyā bhī ākhir koī chīz hai ziṅdgī bhar na ham unse hoṅge judā dil kī rāhoṅ pe chalte raheṅge sadā jaise tūfān kī maujoṅ meṅ sāhil rahe zor kiskā chalā hai, bhalā iśhq par apnā-apnā hai dil, apnī-apnī nazar yah na hogā ke ham unse muṇh moṛ leṅ ḍor taqdīr kī bāṇdhkar toṛ deṅ ādmī vo jo vāde pe kāyam rahe