Maine un se kal kahaa jab tum se ... chal jhoothee

मैने उन से कल कहा जब तुम से ... चल झूठी
Year
Language

मैने उन से कल कहा जब तुम से हुआ मुझे प्यार
वो बोले चल झूठी
आँखों से तो हाँ कहती हो होंठों पे इन्कार
तेरी तो चल झूठी
अरे चोरी मेरी पकड़ी गई तो मैं भी रो दी झूठी मूटी
मैने उन से कल कहा …

दिल ने जो छुपाया आँखों ने बताया
बस प्यार ही जाने इस प्यार की माया
तुम से मिलीं निगाहें मैं शरमा गई
कुछ कहते कहते रुकी घबरा गई
ओ चोरी मेरी पकड़ी गई है
एक नहीं सौ बार
तेरी तो चल झूठी
मैने उन से कल कहा …

कुछ तुम ने सोचा कुछ मैने सोचा
लो जो तुम ने सोचा वही मैने सोचा
कुछ तुम ने सोचा कुछ न कुछ कुछ मैने सोचा
वही तो जो तुम ने सोचा वही मैने सोचा
तेरे मन का दर्पण मैने देख लिया
इन आँखों में प्यार का सावन देख लिया
अरे मैने भी सपनों का साजन देख लिया
जी तो करता है के कह दूँ फिर से तुझे इक बार
तेरी तो चल झूठी
ओ हो ल ल ल ल ला
अरे चोरी तेरी पकड़ी गई तो तू भी रो दी झूठी मूटी
मैने उन से कल कहा …

maine un se kal kahā jab tum se huā mujhe pyār
vo bole chal jhūṭhī
āṇkhoṅ se to hāṇ kahtī ho hoṅṭhoṅ pe inkār
terī to chal jhūṭhī
are chorī merī pakaṛī gaī to maiṅ bhī ro dī jhūṭhī mūṭī
maine un se kal kahā …

dil ne jo chhupāyā āṇkhoṅ ne batāyā
bas pyār hī jāne is pyār kī māyā
tum se milīṅ nigāheṅ maiṅ śharmā gaī
kuchh kahte kahte rukī ghabrā gaī
o chorī merī pakaṛī gaī hai
ek nahīṅ sau bār
terī to chal jhūṭhī
maine un se kal kahā …

kuchh tum ne sochā kuchh maine sochā
lo jo tum ne sochā vahī maine sochā
kuchh tum ne sochā kuchh na kuchh kuchh maine sochā
vahī to jo tum ne sochā vahī maine sochā
tere man kā darpaṇ maine dekh liyā
in āṇkhoṅ meṅ pyār kā sāvan dekh liyā
are maine bhī sapnoṅ kā sājan dekh liyā
jī to kartā hai ke kah dūṇ phir se tujhe ik bār
terī to chal jhūṭhī
o ho la la la la lā
are chorī terī pakaṛī gaī to tū bhī ro dī jhūṭhī mūṭī
maine un se kal kahā …