मैने तुझसे प्यार किया है इसमें मेरी खता नहीं
मैने तुझसे प्यार किया है इसमें मेरी खता नहीं
कितना प्यार किया है तुझको इसका मुझे पता नहीं
मैने तुझसे प्यार …
इक फूल चुना है मैने इतने बड़े चमन से
इक सितारा चुरा लिया है इतने बड़े गगन से
सारी दुनिया देखी मैने कोई मुझको जंचा नहीं
तेरे आगे सर झुकता है क्यूं झुकता है पता नहीं
कितना प्यार किया है तुझको …
महकी महकी बात करें हम कर्ज़ बहारों से ले लें
अपने अपने ख्वाब बुनें हम यूं ही ख्यालों में खेलें
तू मुझको अच्छी लगती है क्यों लगती है पता नहीं
कितना प्यार किया है मुझको …
maine tujhse pyār kiyā hai ismeṅ merī khatā nahīṅ
kitnā pyār kiyā hai tujhko iskā mujhe patā nahīṅ
maine tujhse pyār …
ik phūl chunā hai maine itne baṛe chaman se
ik sitārā churā liyā hai itne baṛe gagan se
sārī duniyā dekhī maine koī mujhko jaṅchā nahīṅ
tere āge sar jhuktā hai kyūṅ jhuktā hai patā nahīṅ
kitnā pyār kiyā hai tujhko …
mahkī mahkī bāt kareṅ ham karz bahāroṅ se le leṅ
apne apne khvāb buneṅ ham yūṅ hī khyāloṅ meṅ kheleṅ
tū mujhko achchhī lagtī hai kyoṅ lagtī hai patā nahīṅ
kitnā pyār kiyā hai mujhko …