Maine tere bahaane bijlee ko chhoo liyaa hai

मैने तेरे बहाने बिजली को छू लिया है
Year
Language

मैने तेरे बहाने बिजली को छू लिया है
छूकर बदन बदन पर तूने प्यार लिख दिया है
सौ बार लिख दिया है
मैने तेरे बहाने …

हाथों में तेरे चन्दन नस नस में बह गया है
तेरा प्यार मेंहदी बनकर तन मन में रच गया है
तुम आरज़ू हो मेरी तुम जुस्तज़ू हो मेरी
हमने प्यार पे तुम्हारे एतबार कर लिया है
मैने तेरे बहाने …

हम प्यार के नहीं थे
पहले कभी तो क़ायल
क्‌या बात तुझमें देखी
दिल तुझ पे हुआ मायल
तू पारस बन कर आया मेरी कंचन कर दी काया
करार दे कर तूने बेकरार कर दिया है
मैने तेरे बहाने …

maine tere bahāne bijlī ko chhū liyā hai
chhūkar badan badan par tūne pyār likh diyā hai
sau bār likh diyā hai
maine tere bahāne …

hāthoṅ meṅ tere chandan nas nas meṅ bah gayā hai
terā pyār meṅhdī bankar tan man meṅ rach gayā hai
tum ārazū ho merī tum justazū ho merī
hamne pyār pe tumhāre etbār kar liyā hai
maine tere bahāne …

ham pyār ke nahīṅ the
pahle kabhī to qāyal
k‌yā bāt tujhmeṅ dekhī
dil tujh pe huā māyal
tū pāras ban kar āyā merī kaṅchan kar dī kāyā
karār de kar tūne bekrār kar diyā hai
maine tere bahāne …