ājā śhām hone āī
mausam ne lī aṅgaṛāī
to kis bāt kī hai laṛāī
tū chal maiṅ āī
bajā kyā hai dekho zarā tum ghaṛī
guzar jāye na prem kī ye ghaṛī
ātī hūṇ thoṛā sā dhīraj dharo
lagā dūṇgī maiṅ prem kī phir jhaṛī
utnī hī hai dūr tū, jitnī qarīb hai
tere mere pyār kā kissā ajīb hai
dhat tere kī!
ab to jān pe ban āī
ye hai pyār kī gahrāī
to kis bāt kī hai laṛāī
tū chal, maiṅ āī …
bahut ho chukī hai terī dillgī
chale āo ab śhām ḍhalne lagī
mere dil meṅ kitnī umaṅgeṅ bharī
tumheṅ maiṅ batātī hūṇ ākar abhī
merā jādu chal gayā, terā chehrā khil gayā
pīchhe pīchhe maiṅ chalī, āge āge tū chalā
dhat tere kī!
to kar do sab ko ab Goodbye
maiṅ ne pyār kiyā maiṅ āī
to kis bāt kī hai laṛāī
tū chal, maiṅ āī …