मैने कुछ खोया है ... तेरे प्यार में
मैने कुछ खोया है मैने कुछ पाया है तेरे प्यार में -2
मेरे कुछ वादे हैं मेरे कुछ अरमाँ हैं मेरे कुछ सपने हैं
मैने कुछ खोया …
( ख़फ़ा होने का ये कोई दौर नहीं
तेरे सिवा मेरे कोई और नहीं ) -2
दुनिया की आँखों से बचेंगे हम कहाँ
और क़रीब और क़रीब आ जान-ए-जहाँ
मैं तेरे पीछे हूँ कोई मेरे पीछे है दुश्मन इतने हैं
मैने कुछ खोया …
( तेरी भोली अदा पे बेचैन हूँ मैं
अभी तुझे पता नहीं कौन हूँ मैं ) -2
मन मेरा पापी है बचा मुझे सनम
हँसो नहीं जो मैं कहूँ सच है सनम
अरे क्या जाने तू नहीं पहचाने तू मुझे ग़म कितने हैं
मैने कुछ खोया …
maine kuchh khoyā hai maine kuchh pāyā hai tere pyār meṅ -2
mere kuchh vāde haiṅ mere kuchh armāṇ haiṅ mere kuchh sapne haiṅ
maine kuchh khoyā …
( khafā hone kā ye koī daur nahīṅ
tere sivā mere koī aur nahīṅ ) -2
duniyā kī āṇkhoṅ se bacheṅge ham kahāṇ
aur qarīb aur qarīb ā jān-e-jahāṇ
maiṅ tere pīchhe hūṇ koī mere pīchhe hai duśhman itne haiṅ
maine kuchh khoyā …
( terī bholī adā pe bechain hūṇ maiṅ
abhī tujhe patā nahīṅ kaun hūṇ maiṅ ) -2
man merā pāpī hai bachā mujhe sanam
hṇso nahīṅ jo maiṅ kahūṇ sach hai sanam
are kyā jāne tū nahīṅ pahchāne tū mujhe ġham kitne haiṅ
maine kuchh khoyā …